!! Sweet Nagar !!
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.


www.pakino.net
 
HomeLatest imagesSearchRegisterLog inChat

 

 Dil Haar Gaya

Go down 
AuthorMessage
Payam
Senior Member
Senior Member
Payam


Female
Number of posts : 239
Location : Sham _e_ Paristan
Humor : hehehehehehe
Registration date : 2008-05-12

Dil Haar Gaya Empty
PostSubject: Dil Haar Gaya   Dil Haar Gaya EmptyMon May 12, 2008 9:30 am

" Dil Haar Gaya "

Kehne ko wo pehli chaahat thi
Wo jis mein junoo(n) tha, shiddat thi
Paakeeza thi, anmol thi wo
Khaabon k jahaa(n) ki ulfat thi
Mehboob ko bhi ma'loom na tha
Aaisi khaamosh mohabbat thi
Khaamosh rahi be-kaar hui
Na jeet hui na haar hui
Phir waqt ne apni chaal chali
Wo furqat se do-chaar hui
Kaisi khaamosh mohabbat thi
Gulzaar se phir wo khaar hui
Furqat se junoo(n) mein aag lagi
Is dil k sukoo(n) mein aag lagi
Ashkon ki larri aankhon se bandhi
Is jism k khoo(n) mein aag lagi
Phir waqt ne apni chaal chali
Dil se wo khumaar-e-preet gaya
Honton se wafa ka geet gaya
Kehne ko wo pehli chaahat thi
Us ka bhi zamaana beet gaya
Hijraa(n) ki shabon se larr larr kar
Dil haar gaya, gham jeet gaya .
_________________
Back to top Go down
 
Dil Haar Gaya
Back to top 
Page 1 of 1
 Similar topics
-
» Tere gunche ki Lams e Itr se bebaak ho gaya
» shehron ka shor kar gaya hay be khabar mujhe

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
!! Sweet Nagar !! :: !! Poetry & Literature !! :: !! Urdu Poetry !!-
Jump to: