!! Sweet Nagar !!
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.


www.pakino.net
 
HomeLatest imagesSearchRegisterLog inChat

 

 Kuch Yaadin

Go down 
AuthorMessage
BrokeN Wishes
Junior Member
Junior Member
BrokeN Wishes


Number of posts : 40
Registration date : 2008-05-11

Kuch Yaadin Empty
PostSubject: Kuch Yaadin   Kuch Yaadin EmptyThu May 29, 2008 6:15 pm






pat jharr ko jo bahaar ka mosam na keh sake
wo log tere sheher main pagal ginay gaye
aye mere dost phir koi qurbat ka band baandh
khud mehviyat ki ro to bahaa lay chali mujhay
shab ko to chaand or sitaaray thay saath saath
tthehra magar na koi bhi sooraj k saamnay
bijli dara rahi hay mujhe cheekh cheekh k
baadal bhi baar baar lagaatay hain qehqahe
bettha hoon phir bhi dayr se is intizaar main
chaand aaye ga ghattaaon ki deewaar phaand k
ujrre gharon main ghoomte saayo!!zara suno
wo qehqahe ,wo chaandni se shokh qehqahe
wo fasl e gul ki subha se khushbu urratay saans
wo sardiyon ki dhoop se chehre kahan gaye
Saki" SHAM jhang ka phera bhi ho kabhi
lahore ki hawa hi buhat bhaagaii tujhe








jab se wo rangaton ka haywla juda hua
gohna gaya hay piyaar ka mayla bhara hua
haaye wo naram naram hawa jhoomtay darakht
jistarha chal raha ho koi oonghta hua
bujhte charaagh,haanpti shab,adh khulay kiwaarr
aise main kon hay ye sar e rah kharra hua
ab wo gudaaz chhaaon hay,na aahatton ki goonj
mere nagar k raasto! ye tum ko kiya hua
seenon k dasht main hain umangon k qaaflay
aankhon main khuaahishaat ka darya ruka hua
tera khayal,reengtay lamhay,udaas Saki'
saayon ka raqs,dil ka dareecha khula hua





kitne dar waa hain, kahin aankh milaayn to sahi
is naye sheher se kuch rabt barrhaayn to sahi
kisi khushbu k ta'aaqub main chalain gaam do gaam
dheyaan main chaandni ka sheher basaayn to sahi
kuch to kehti hay sar e shaam samandar ki hawa
kabhi saahil ki khunk rayt pe jaayn to sahi
kiya khabar ott main hoon is ki manaazir kia kia
apne pindaar ki deewaar giraayn to sahi
dil k oraaq pe ab taaza hikaayaat likhen
naye lamhon main naya khoon rachaayn to sahi
apne bikhre huay zarron ko sametten phir se
bazm phir raqs e tamanna ki sajaayn to sahi
SHAM ye roshni,ye rang k phaylay huay jaal!
ik zara in k tilsimaat main aayn to sahi






muddaton ba'd wo galyaan wo jharokay dekhe
jism ki raakh se utthtay huay sholay dekhe
dil main dar aayin gaii saa'aten khushbu ban kar
sadiyon ki neend se phir jaagtay lamhay dekhe
rang barsaati wohi subha,wohi bheegti shaam
wohi ehsaas main ddoobay huay saaye dekhe
aik ik morr milay bichrray khayaalon k hujoom
soonay darwaazon main phir chaand se chehre dekhe
aik ik aankh pe lamhon ka fusoon taari hay
kon is waqt ki deewaar se aagay dekhe
teh main bastay hain chamaktay huay rangon k nagar
koi is ghoor andhere main utar k dekhe
Saki " jab torr liya us se tha jo bhi rishta
apne izhaar k phir kitne hi rastay dekhe
Back to top Go down
 
Kuch Yaadin
Back to top 
Page 1 of 1
 Similar topics
-
» Kuch toot gaye hain kuch khawab baaqi hain
» Kuch.....!
» Aaj kuch maangna hay tum say ...........
» haan pas nahi toh kuch apna ....
» Kuch aesey log jo zehan sey ....

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
!! Sweet Nagar !! :: !! Poetry & Literature !! :: !! Urdu Poetry !!-
Jump to: