dasht-e-tanahaaii mein aye jaan-e-jahaan larazaan haye
teri aawaaz ke saaye, tere hontoon ke saraab
dasht-e-tanahaaii mein doori ke khas-o-khaak taley
khil rahe hain tere pahaloo ke saman aur gulaab
uth rahi hai kaheen qurabat say teri saans ki aanchh
apani khushbu mein sulagati hui maddham maddham
door ufaq paar chamakati hui qataraa qataraa
gir rahi hai teri diladaar nazar ki shabanam
is qadar pyaar se aye jaan-e-jahaan rakhaa hai
dil ke rukhasaar pey is waqt teri yaadh ne haath
yoon gumaan hotaa hai garachey hai abhi subhey firaaq
dhal gayaa hijr kaa din, aa bhi gayi wasl ki raat