!! Sweet Nagar !!
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.


www.pakino.net
 
HomeLatest imagesSearchRegisterLog inChat

 

 P @ R ! l<! P @ S @ N l)

Go down 
2 posters
AuthorMessage
P @ R !
Senior Member
Senior Member
P @ R !


Female
Number of posts : 718
Location : Canada
Registration date : 2008-05-18

P @ R !   l<!   P @ S @ N l) Empty
PostSubject: P @ R ! l<! P @ S @ N l)   P @ R !   l<!   P @ S @ N l) EmptyWed Jun 18, 2008 10:46 pm

Tumhara naam kisse ajnabi k labon pe tha,
Zara se baat thy per dil ko buri lagy


Hum labon se keh na pai Hal- e- Dil un se kabhi,
Aur wo samjha nahin yeh khamoshi kya cheez hai


Tum laakh chupao seny main, Ehsas hamari chahta ka
Dil jab bhi tumhara darhka hai, Awaz yahan tak aay hai


Tujhay khushboon ki hai arzoo, tujhay roshni ki hia justujoo
Main phool nahi, main diya nahi, meray humsafar abhi soach lay


Rab Karey Tera Naseeb Chamakta Dikhai Dey
Aankhain Jo Band Karein To Madina Dikhai Dey
Sajda Jahan Karey Waha Qaba Dikhai Dey
Uthay Jo Ankhain To Gumbad-E-Khizra Dekhai Dey


Na jany kya soch ker shareek hua mery janazy mein wo
jo duwaien kerta raha meri mout ki...Ajj wo din aya tou kuyoon ro diyaa


Laho may rung ki sorat basa hay tera khayal
May kis tarhan teri yadon say fasla rakhoon
Kisi bhi shaks say koi bhi gharz nahi hay mujhay
May sirf teray leay sab say wasta rakhoon


Apny dil ki baat hum un se
khy nhi saktye
Ay khuda esi kismt bana de
Wo aa ke khod hum se khe de
Hum aap ke bina
Reh nhi saktye


Gheeron say kaha tum nay gheeron say suna tum nay
Kuch hum say kaha hota kuch hum say suna hota


Na Ziker Ker Meri Aada K Bary Mein
Hum Bhi Janty Hain Sab Kuch Wafa K Bary Mein
Sunna Hai Woh B Mohabbat Ka Shouq Rekhty Hain
Jinhy Khud Khabar Nahi Kuch Wafa K Bary Mein


Jo sunai anjuman may shab-e-ghum ki aap beti
Kai roo kay muskuray , kai muskura kay rooye


saza dainay walay raza pouchtay hain
Jeenay ki hum say wajha pouchtay hain
Daitay hain khud hi zaiher humko aksar
Phir kitna hua hai asar pouchtay hain


ajeeb rang main guzri hay zindgi apni
dilon pe raaj kya phir bhi pyar ko tarsye


Na Koi Meri Manzil Hai Na Kinara
Tanhai Meri Mehfil Aur Yaadein Mera Sahara
Unse Bichad Kar Kuch Yun Waqt Guzra
Kabhi Zindagi Ko Tarse Kabhi Maut Ko Pukara


Tujh se Do Ghari Baat karli to Machal utha hai yeh Dil
Samjhaye nahi Samajhta Kyun hai yeh itna Ghafil


Na inkaar kar sakta hai koi meri wafa se, mujhe yakin hai
Par tum sambhalna ek din meri wafa tujhe bewafai ka sila degi


Na bhula sakungi woh mohabbat na woh bewafai, jo tu ne ki
Saza iss se barh ke kya degi ke umar bhar meri mohabbat tujhe dua degi


Aarahi hai teri yaadein dil mera phir bekarar hai..
Tum miloge ha miloge dil ko mere aitabar hai
Khuli hai yeh bahein dekhe yeh nigahe rasta tera
Zara muskurake phirse dikhade wohi ada
Back to top Go down
Wiki
VIP
VIP
Wiki


Male
Number of posts : 1211
Age : 39
Location : FSD - Pakistan
Registration date : 2008-05-18

P @ R !   l<!   P @ S @ N l) Empty
PostSubject: Re: P @ R ! l<! P @ S @ N l)   P @ R !   l<!   P @ S @ N l) EmptyMon Jun 23, 2008 10:14 pm

very nyshh meli jaan hugies
Back to top Go down
P @ R !
Senior Member
Senior Member
P @ R !


Female
Number of posts : 718
Location : Canada
Registration date : 2008-05-18

P @ R !   l<!   P @ S @ N l) Empty
PostSubject: Re: P @ R ! l<! P @ S @ N l)   P @ R !   l<!   P @ S @ N l) EmptyMon Jun 23, 2008 10:40 pm

thx janiye
Back to top Go down
P @ R !
Senior Member
Senior Member
P @ R !


Female
Number of posts : 718
Location : Canada
Registration date : 2008-05-18

P @ R !   l<!   P @ S @ N l) Empty
PostSubject: Re: P @ R ! l<! P @ S @ N l)   P @ R !   l<!   P @ S @ N l) EmptyTue Jul 15, 2008 2:08 am

Ek tuman ahai faqt mujh pay meharban raho
Tum kisi or ko daikho to bura lugta hai
MEri chahta ka taqaza hai meray sath raho
ghair ka haath jo thamoo to bura lugta hai
Arzu hai k teray har roop ko daikhoon
Tum meray pass say uthoo to bura lugta hai
Roz-o-Shub ajjbhi tumhari he parwahi sirf mujh ko
Tum kisi or ko socho to bura lugta hai
Yeh meri roh tarassati hai Tumhari khushbhu ko
Tum kahin or jo mehko to bura lugta hai



Meray ajnabi meray ashna
tujhay harf harf main dua likhon
koi aisa wasal nasseeb ker
k tujhay chand, taray, hawa likhoon
agar na bun sakoon kahin tera
to hayat ko main funna likhon
agar na dar ho kuffar ka mujhay
to phir main tuyjhay khuda likhon...
yeh zindagi qadam qadam pay
teri yad say jawan rahay
meray ajnubi meray ashna
main tujhay kahin na juda likhon



yeh khamoshi
yeh khayal
yeh tumhara intizar
yeh ruki ruki batein
yeh thori thori chahten
yeh majboori
yeh doori
yeh dil lagi
yeh dil kashi
yeh dewana pan
yeh sochna
yeh samajhna
yeh ankhon ka bher jana
yeh mosam ka chala jana
yeh dharkanon ka ruk jana
yeh baton ka badal jana
yeh sanson ka theher jana
yeh thama hua sama
yeh sara sansar
yeh tumhari sansen
yeh mera ehsas
kash tum yahan hotey



tu kahian bhi rhaey
sar pe tere ilzam to hay
tere haton ki lakiroon main
mera naam to hay
tu mujhy apna bana
yaa na bana
teri khoshi
tu zamane mian
mere naam se
badnam tu hay



Yaa dekhaye de tu kise jagah ya jawab de
Meri umer bhar ki riyazton ka hisaab de
Koi raat aesi naseer ker meri zaat ko
Jo solaaey tere he ziker main tere khwab de



Kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Ho ga
Mere Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Ho Ga

Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chalki Hoo Gi
Uss Nay Chahray Ko Bazuoon Main Chupaya Ho Ga

Soocha Hoo Ga Uss Nay Din Main Kaye Baar Mujhy
Naam Hathele Par Bhe Likh Likh Kay Mitaya Ho Ga.

Jahan Us Nay Mera Ziker Suna Hoo Ga Kisi Say
Uss Ki Aankhoon Main Koe Aansoo Tu Aya Hoo Ga.

Raat Kay Bhegnay Tak Neind Na Aye Ho gi Tujhy
Tuu Nay Takeye Ko Bhe Senay Say Lagaya Ho ga.

Hoo Kay Nidhal mere Yadoon Say Tuu Nay Jana
Mere Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Hoo Ga.

Poocha Hoo Ga Jo Kisi Nay Tere Halat Ka Sabab
Tuu Nay Batoon Main Khub Us Say haal-e-dil Chupaya Ho Ga



Yeh Hum Bhi Gawara Kartay Hain,
Yeh Tum Bhi Gawara kar laina.

Ro Ro K Guzari Hai Hum Nain,
Tum Hans k Guzara Kar Laina.

Betabi Hadh Sa Barh Jaye Aur
Neend na Aaye Ratoon Ko,

Tou Doub K Meri Yadoon Main
Duniya Sa Kinara Kar Laina.

Jis Waqt Janaza Guzray Ga
Is Shakhs Ka Tere Koche Se

Jazbaat Pe Qabo Kar Laina
Khirki Sa Nazara Kar Laina.



kyun pochte ho kiya tum se kaho main kis liye jity hoon,,
shayed ke kabhi mil jao kahin main is lie jety hoon..
jene ka mujhe kuch shoq nahi bas waqt guzara kerty hoon..
kuch derr ulajh ke yaado main dunya se kinara kerty hoon..
merty bhi us ke khatir hoon main jis k liyee jety hoon...
shayed ke kabhi mil jao kahin main is lie jety hoon..
main hoon ke sulaghty rehty hoon bujhty bhi nahi jelty bhi nahi...
dil hai ke tarapta rehta hai rukta bhi nahi chalta bhi nahi..
jene ki tamana mit hi chuki phir kiss liyee jety hoon...
shayed ke kabhi mil jao kahin main is lie jety hoon
Back to top Go down
Wiki
VIP
VIP
Wiki


Male
Number of posts : 1211
Age : 39
Location : FSD - Pakistan
Registration date : 2008-05-18

P @ R !   l<!   P @ S @ N l) Empty
PostSubject: Re: P @ R ! l<! P @ S @ N l)   P @ R !   l<!   P @ S @ N l) EmptyTue Jul 15, 2008 5:53 pm

Bohat Bohat Bohatttttttttttttttttttt Achi Selection Hai ..
Thx 4 Sharing shy
Back to top Go down
P @ R !
Senior Member
Senior Member
P @ R !


Female
Number of posts : 718
Location : Canada
Registration date : 2008-05-18

P @ R !   l<!   P @ S @ N l) Empty
PostSubject: Re: P @ R ! l<! P @ S @ N l)   P @ R !   l<!   P @ S @ N l) EmptyMon Jul 21, 2008 5:45 am

Wo Keh Ke Chalay Itni Mulaqat Bohot Hay
Main Nay Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bohot Hay

Aansoo Mere Thum Jayein To Phir Shoq Say Jana
Aisay Main Kahan Jao Gay Bersaath Bohot Hay

Wo Keh Nay Lagay Jana Mera Bohot Zarori Hay
Nhi Chahti Dil Toron Tera Per Majboree Hay

Ger Hoi Ho Koi Khata To Maaf Ker Dena
Main Nay Kaha Hojao Chup Itni Kahi Baat Bohot Hay

Samajh Gaya Hon Sab Aur Kuch Kaho Zarori Nhi
Bas Aaj Ki Raat Ruk Jao, Jana Itna Bhi Zarori Nhi

Phir KAbhi Na Aaonga Tumhari Zindagi Mein Lot Ke
Sari Zindagi Tanhayee Ke Liye Aaj Ki Raat Bohot Hay

-----------------------------------------------------------------

Aj Ap Ki Yaad Ko seene Se Laga Kar roye
Apne Khuwab Mein Tum Ko Pas Bula Ke Roye
Hazaro Baar Pukara Tum Ko Tanhaiyo Mein
Or Har Bar Tum Ko Pas Na Pakar Roye

------------------------------------------------------------------

badlon ki beech kuch aise sazish huwi,
hamara ghar tha mitti ka waheen barish huwi,
falak ko zid thee bijliyan girane ki,
hamen bhee zid thee waheen ashiyana banane ki.
Back to top Go down
Wiki
VIP
VIP
Wiki


Male
Number of posts : 1211
Age : 39
Location : FSD - Pakistan
Registration date : 2008-05-18

P @ R !   l<!   P @ S @ N l) Empty
PostSubject: Re: P @ R ! l<! P @ S @ N l)   P @ R !   l<!   P @ S @ N l) EmptyMon Jul 21, 2008 12:00 pm

sies

umuhaaa hugies
Back to top Go down
P @ R !
Senior Member
Senior Member
P @ R !


Female
Number of posts : 718
Location : Canada
Registration date : 2008-05-18

P @ R !   l<!   P @ S @ N l) Empty
PostSubject: Re: P @ R ! l<! P @ S @ N l)   P @ R !   l<!   P @ S @ N l) EmptyWed Jul 23, 2008 4:28 pm

Katal kar ke vo katil ka nam puchte hai,
dard dekar vo dava ka nam puchte hai,
Mar gaye hum unki is ada pe,
hokar mere khuda vo mere rehnuma ka nam puchte hai.

-------------------------------------------------

woh shakhs meri jaan bana rehta hai
usska piyar meri pehchaan bana rehta hai

koi muntazir hai usska kitni shiddat se
woh janta hai magar anjaan bana rehta ha


woh shakhs mujhay piyara hai ussay kehna
wohi jeenay ka saharaa hai ussay kehna

log piyaray hein bohat se mujh ko
woh sab se piyara hai ussay kehna

---------------------------------------------------

Pii ja ayyam ki talkhi ko bhi hans key Nasir
gham ko sehney mein bhi qudrat ney mazzah rakha hai

---------------------------------------------------

Poochha kisi ney haal kisi ka to ro diyey
paani mein aks chaand ka dekha to ro diyey
urrta huwa ghubaar sar-e-raah dekh ker!
anjaam ham ney ishq ka socha to ro diyey

----------------------------------------------------

Haya nahin hai zamaney ki aankh mein baqi
Khuda karey keh jawani teri rahey be'daagh

-----------------------------------------------------

Nazar Andaz Karene ki saza deni thi tujhe
Tere dil mein utar jana zarori ho gya tha

------------------------------------------------------

Zanjeer teri yaad hai zindaa tera khyal..
kesey rihaa karega tuu apney aseer ko
Back to top Go down
Sponsored content





P @ R !   l<!   P @ S @ N l) Empty
PostSubject: Re: P @ R ! l<! P @ S @ N l)   P @ R !   l<!   P @ S @ N l) Empty

Back to top Go down
 
P @ R ! l<! P @ S @ N l)
Back to top 
Page 1 of 1

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
!! Sweet Nagar !! :: !! Poetry & Literature !! :: !! Urdu Poetry !!-
Jump to: