!! Sweet Nagar !!
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.


www.pakino.net
 
HomeLatest imagesSearchRegisterLog inChat

 

 "MAA"

Go down 
2 posters
AuthorMessage
Sleepysoul
Junior Member
Junior Member



Number of posts : 13
Registration date : 2008-07-12

"MAA" Empty
PostSubject: "MAA"   "MAA" EmptySat Jul 12, 2008 4:13 am

Her ibadat , her muhabbat mein nihaan hai ek gharz
bay-gharz, bay-loss, her khidmat ko ker jati hai "MAA"

bazuon mein khainch k aay jaye gii jaise khayanet
apne bacahe k liey baa'hon ko phaylaatii hai "Maa"

zindagi k safer mein gardishon kii dhoop mein
jab koi sayya nahin miltaa tow yaad aati hai "Maa'

pyar kehte hein kisse aur mumtaa kya chiz hai
koi un bachon se poochay jin kii mer jati hai "Maa'

suf-ha-aye-hassti peh likhti hai aasol-e-zindagi
iss liey ek maktab-e-islam kehlati hai "Maa"

uss ne dunyiaa ko diye masoom rahber iss liey
aazmaton mein saanii, Qur'an kehlatii hai "Maa"

ghar se pardes jata hai koi noor-e-nazer
hath mein Qur'an lay ker dar peh aa jati hai "Maa"

day k bachay ko zamanat mein raz-aye-pak kii
peechay peechay sir jhukaye door tak jati hai "Maa"

kanptii awaz se kehti hai beta al-vida
samne jab tak rahay hathon ko lehratii hai "Maa"

jab paray-shanii mein ghir jatay hein hum perdes mein
aansuon ko pounchane khawabon mein aa jati hai "Maa"

maut ki aaghos mein jab tthak k so jati hai "Maa"
tab kahin jaa ker sakoon thora saa paa jati hai "Maa"

fiqer mein bachon ki kuch iss terhaa ghul jati hai "Maa'
noujawann hotay huaway boohrii nazer aati hai "Maa"

rooh k rishton ki yeah gehrayaan tow daikhyae
chot lagti hai humaray aur chilaati hai "Maa"

kab zarorat ho meri bachay ko itna soch ker
jagti rehti hein aankein aur so jati hai "Maa'

hadyoun kaa rus pila ker apne dil k chain ko
kitni he raton mein khali pait so jati hai "Maa"

janay kitni baraf si raton mein aisa bhi huawa
bacha tow chaatii peh hai galay mein so jati hai "Maa"

jab khilonay ko machaltaa hai koi ghurbat kaa phool
aansuon k saz peh bachay ko behlatti hai "Maa"

fiqer k shamshaan mein aakhir chitaano ki terhaa
jaise sookhtii lakrian ,iss terhaa jal jati hai "Maa"

apne aanchal se gulabii aansuon ko poonch ker
dair tak ghurbat peh apni aashk bersaati hai "Maa"

samne bachae k khush rehti hai her ek haal mein
raat ko chup chup k laykin aashk bersati hai ""Maa"

pehle bachon ko khilaatti hai sakoon-o-chain se
baad mein jo kuch bacha ho shoq se khilati hai "Maa"

mangtii he kuch nahin aapne liey "Allah " se
aapne bachon k liey daman ko phaylaati hai "Maa"

gar jawan baetti ho ghar mein aur koi rishtaa naa ho
ek naye ehsaas kii soolii peh cherjati hai "Maa"

( .....iss ko perhnae k baad meri aankhon mein naah thamne walay aansuon k siwa kuch naah thaa.....aur aachi aulad naah hone ki nadamt .....be loyal to ur relations ...no one can them ....dunyia ki sub se bari dulat hein app k parents .....be obediant as much as u can ...
Back to top Go down
Dude !!
Admin
Admin
Dude !!


Number of posts : 313
Registration date : 2007-07-23

"MAA" Empty
PostSubject: Re: "MAA"   "MAA" EmptySat Jul 12, 2008 4:48 am

Very Nice ..
Back to top Go down
 
"MAA"
Back to top 
Page 1 of 1
 Similar topics
-
» " Woh Apne Ishq Mein Kaisa Kamal Rakhta Hai "
» " Tum kisi or ko dekho to bura lgta hay "
» "Zameen Peh Chal Nah Shaka Aasmaan Seh Bhi Gea"
» ~ my S E L E C T I O N ~
» " Farz kro bas yehi haqeeqat "

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
!! Sweet Nagar !! :: !! Poetry & Literature !! :: !! Urdu Poetry !!-
Jump to: