Dubti kashti ko kinarey ki chahat hoti hay
La daboya bhanwar main tufan say takra kar
Woh qismat hay ya unki karam nawazi hay
Jidhar bhi jain ik ajeeb si udasi hay
Waqt bey waqt kiyun yad atey hain humko woh
Agar unhon nay ik nai dunya basaaa li hay
Ab bhi akailey nahin hain ham ya bata dain tumko
Ab yahan panah tairi yad na bana li hay
Chor kar ja nahin saktey or na janay dain gaey
Zimaey wafa dari sirf ham nay hi nahi uthai thi
Sahil ki rait par ik gharondy ki tasvir tum nay bhi banai thi
Log karnay na lagain nafrat,muhabbat ko mairi daikh kar
Isi zamanay kay dar say ham nay har bat chupai hay
Lafz anay na dain gaey tairi chahat par kabhi ham
Zinda rehnay kay liay yahi ik qasam uthai hay
Log kehtay hain to kehtay rahain,kia parwa hamko
ham nay to rasmey ulfat nibhanay ki qasam uthai hay
Lakh kar lo sitam na miti hay na mit paey gi
woh tasvir jo ham ney ankhon main unki basai hay
Chahat ka dawa tum nay kia or ilzam liay sar par hamney
hamney suna hay chupkey sey ik tali tumney bhi bajai hay
wah kia khub bharam rakha sanam tumnay muhabat ka
log kehtey hain par ham na kahain gaey tun harjai hay
yahi dastan hay apni jo ham nay sunai hay
wah kia mor hay qismat jahan par lai hay
yahi dastan hay apni jo ham nay sunai hay
(My property)
Zee~Shahzad*Jatt
BAHAWALPUR