Ujalon ke safar per aaj tak tanha nahi nikla
Mujhay taareek raaho'n ki zara aadat hai janay kyun
Main guzray kal ke aagay aaj ko daikha nahin kerta
Mujhay maazi ki yaado'n ki zara aadat hai janay kyun
Adhoori neend rehti hai, adhooray khwaab aatay hain
Mujhay aisi he raato'n ki zaraa aadat hai janay kyun
Nahin aawaaz lafzo'n ki, Nahi'n insaaf munsif ko
Mujhay aisay hawaalo'n ki zaraa aadat hai jaanay kyun
Zaba'n bandi nahi koee, meri guftaar aisi hai
Mujhay khaamosh baato'n ki zara aadat hai janay kyun
Agar takmeel mumkin ho kisi waaday ki, rehnay do
Mujhay jhootay he waadoo'n ki zara aadat hai janay kyun
Naee thokar ke khanay ka iraada phir se hai Sajid
Mujhay aisay iraado'n ki zara aadat hai janay kyun