Bandh lain haath pe seene pe saja lain tum ko
Jee main aata hai taveez bana lain tum ko
Phir tumhain roz sanwarain tumhain barhta dekhain
Kiyun na aangan main chmbelli sa laga lain tum ko
Jese ballon main koi phool chuna karta hai
Ghar ke guldan main phoolon sa saja lain tum ko
Kya ajeeb khawahish uthti hai hamare dil main
Ker ke mana sa hawa main uchalain tum ko
Iss qadar toot ke tum pe hamain pyar aata hai
Apni banhon main bharain maar hi daalain tum ko
Kabhi khawabon ki tarhan aankh ke parde main raho
Kabhi khawahish ki tarhan dil main bula lain tum ko
Hai tumhare liye kuch aisi aqeedat dil main
Apne haathon main duaoon sa utha lain tum ko
Jaan dene ki ijazat bhi nhi dete ho
Warna mar jayen abhi mar ke mana lain tum ko
Jiss tarhan raat ke seene main mahtab ka noor
Apne tareek makanon main saja lain tum ko
Ab to bas aik hi khawahish hai kisi morr per tum
Hum ko bikhre huway mill jao sambhalain tum ko ....
_________________