Wafa ki rah par koi dobara ja nahin sakta
guzarta pal kabhee phir say guzara ja nahin sakta
bohat nazdeek ho kar bhi wo itna door hay mujh say
ishara ho nahin sakta, pukara ja nahin sakta
yeh mad-o-juzr dunya khela hay sanp or serhi ka
yahan say agay or peechay istiara ja nahin sakta
usay main kis tarha paon wo mujh tak kis tarha pohanchay
k apni rah say hat kar sitara ja nahin sakta
jahan tak khuwahish is adam-e-khaki ki jatee hen
wohan tak zindagi ka goshwara ja nahin sakta
koi pochay k akhir yeh wafa ka bojh k sa hay
sahara bhi nahin jata, utara bhi nahin jata
sarakti ret raston ki nishani ban nahin saktee
samay ki rehguzar main ghar usara ja nahin sakta
kahen pay ruk bhi sakta hay hamaray ishq ka soda
k janan, had say agay to khasara ja nahin sakta