Shararat na hoti , shikayat na hoti
naino mai kisi ke nazakat na hoti,
Na hoti bekarari ,
na hote hum tanha jo jahaan mai kambakhat ye mohabbat na hoti,
Na hote ye sapne ,
ye khwabon ki duniya ,
kisi ko chahat ki tammanna na hoti,
Na zulfon ki chaaya ,
na phoolon ki khushbu ,
yaadon mai unki yeh raatein na katati ,
jo na hoti mohabbat ye aansu na hote,
dil bhi na khota ,
aaj tanha na rota ,
Diwano si apni yeh halat na hoti ,
jo jahaan mai kambakhat yeh mohabbat na hoti…..